hadisa qahr-o-ghazab tegh-o-tabar le lena
hādisa qahr-o-ġhazab teġh-o-tabar le lenā
maut kā shahr hai jiine kā hunar le lenā
kaun jaane ki shab-e-tār Dhale yā na Dhale
dil ke zaḳhmoñ hī se taskīn-e-sahar le lenā
tanhā is shahr meñ nikloge to luT jāoge
kaun hamdard koī ahl-e-safar le lenā
mere kirdār ko ā.īna dikhāne vaalo
jā.eza apne bhī dāman kā magar le lenā
aaj le aa.egā 'kaifī' vo asāsa ġham kā
ek ne'mat hai jo be-ḳhauf-o-ḳhatar le lenā
hadisa qahr-o-ghazab tegh-o-tabar le lena
maut ka shahr hai jine ka hunar le lena
kaun jaane ki shab-e-tar Dhale ya na Dhale
dil ke zaKHmon hi se taskin-e-sahar le lena
tanha is shahr mein nikloge to luT jaoge
kaun hamdard koi ahl-e-safar le lena
mere kirdar ko aaina dikhane walo
jaeza apne bhi daman ka magar le lena
aaj le aaega 'kaifi' wo asasa gham ka
ek ne'mat hai jo be-KHauf-o-KHatar le lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.