hadsa to bas ek bahana tha
hādsa to bas ik bahāna thā
ruuh ko jism chhoḌ jaanā thā
be-asar sab davā.eñ hotī rahīñ
zaḳhm kam-baḳht bhī purānā thā
kaise kahtā maiñ alvidā.a us ko
us ke dil meñ mirā Thikāna thā
qatra-qatra thā ġham samundar meñ
sīpiyoñ meñ use sajānā thā
muflisī meñ akelā chhoḌ aa.e
saath jis kā tumheñ nibhānā thā
rāh-e-pur-ḳhār thī magar mujh ko
apnā dāman bhī ḳhud bachānā thā
vo na samjhā usuul kī ḳhushbū
us kā andāz tājirāna thā
ham manāte rahe jise har-dam
us kī aadat meñ ruuTh jaanā thā
hadsa to bas ek bahana tha
ruh ko jism chhoD jaana tha
be-asar sab dawaen hoti rahin
zaKHm kam-baKHt bhi purana tha
kaise kahta main alwidaa us ko
us ke dil mein mera Thikana tha
qatra-qatra tha gham samundar mein
sipiyon mein use sajaana tha
muflisi mein akela chhoD aae
sath jis ka tumhein nibhana tha
rah-e-pur-KHar thi magar mujh ko
apna daman bhi KHud bachana tha
wo na samjha usul ki KHushbu
us ka andaz tajirana tha
hum manate rahe jise har-dam
us ki aadat mein ruTh jaana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.