hadse pyar mein aise bhi to ho jate hain
hādse pyaar meñ aise bhī to ho jaate haiñ
rat-jage ḳhema-e-taskīn meñ ho jaate haiñ
ba.az auqāt tirā naam badal jaatā hai
ba.az auqāt tire naqsh bhī kho jaate haiñ
chalte chalte kisī raste ke kināre pe kahīñ
yaad ke phuul masāfat meñ piro jaate haiñ
tujh ko dekhā hai to āsār nazar aa.e haiñ
tujh ko dekhā hai to maazī ko bhī ro jaate haiñ
ham chale jaate haiñ is shahr ke jañgal se kahīñ
tum hameñ dard kī ḳhairāt to do jaate haiñ
hadse pyar mein aise bhi to ho jate hain
rat-jage KHema-e-taskin mein ho jate hain
baz auqat tera nam badal jata hai
baz auqat tere naqsh bhi kho jate hain
chalte chalte kisi raste ke kinare pe kahin
yaad ke phul masafat mein piro jate hain
tujh ko dekha hai to aasar nazar aae hain
tujh ko dekha hai to mazi ko bhi ro jate hain
hum chale jate hain is shahr ke jangal se kahin
tum hamein dard ki KHairaat to do jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.