hadson ki duniya mein kaun kis ko rota hai
hādsoñ kī duniyā meñ kaun kis ko rotā hai
yaad kar ke dukh apne ḳhuun dil kā hotā hai
āmad-e-bahārāñ par ro.e ḳhuub ro.e ham
dard yuuñ bhī thamtā hai dard yuuñ bhī hotā hai
aap kī nigāhoñ meñ vo bhī ho ga.e mujrim
jin kī be gunāhī par āsmāñ bhī rotā hai
ḳhaak meñ milīñ āḳhir sab riyāzateñ un kī
jāgne se kyā hogā jab nasīb sotā hai
naqsh sabt hote haiñ dil meñ be-vafā.ī ke
naaz jin pe karte haiñ maan jin pe hotā hai
dil meñ kitne tūfāñ haiñ pur-sukūn chehra hai
jaane vo 'sabā' apne dukh kahāñ samotā hai
hadson ki duniya mein kaun kis ko rota hai
yaad kar ke dukh apne KHun dil ka hota hai
aamad-e-bahaaran par roe KHub roe hum
dard yun bhi thamta hai dard yun bhi hota hai
aap ki nigahon mein wo bhi ho gae mujrim
jin ki be gunahi par aasman bhi rota hai
KHak mein milin aaKHir sab riyazaten un ki
jagne se kya hoga jab nasib sota hai
naqsh sabt hote hain dil mein be-wafai ke
naz jin pe karte hain man jin pe hota hai
dil mein kitne tufan hain pur-sukun chehra hai
jaane wo 'saba' apne dukh kahan samota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.