hadson ki zad pe hain to muskurana chhoD den
hādsoñ kī zad pe haiñ to muskurānā chhoḌ deñ
zalzaloñ ke ḳhauf se kyā ghar banānā chhoḌ deñ
tum ne mere ghar na aane kī qasam khaa.ī to hai
āñsuoñ se bhī kaho āñkhoñ meñ aanā chhoḌ deñ
pyaar ke dushman kabhī to pyaar se kah ke to dekh
ek terā dar hī kyā ham to zamāna chhoḌ deñ
ghoñsle vīrān haiñ ab vo parinde hī kahāñ
ik basere ke liye jo āb-o-dāna chhoḌ deñ
hadson ki zad pe hain to muskurana chhoD den
zalzalon ke KHauf se kya ghar banana chhoD den
tum ne mere ghar na aane ki qasam khai to hai
aansuon se bhi kaho aankhon mein aana chhoD den
pyar ke dushman kabhi to pyar se kah ke to dekh
ek tera dar hi kya hum to zamana chhoD den
ghonsle viran hain ab wo parinde hi kahan
ek basere ke liye jo aab-o-dana chhoD den
- Book : Mera Kiya (Pg. 116)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.