hae is majburi-e-zauq-e-nazar ko kya karun
haa.e is majbūrī-e-zauq-e-nazar ko kyā karūñ
vo mujhe dekheñ na dekheñ maiñ unheñ dekhā karūñ
husn ke husn-e-nadāmat kā taqāzā hai ki aaj
sidq-e-dil se phir yaqīn-e-vāda-e-fardā karūñ
maiñ ne maanā zāmin-e-taskīn-e-dil hai tark-e-shauq
lekin apne vāqi.āt-e-zindagī ko kyā karūñ
zindagī shāyad azā.em-parvarī kā naam hai
sochtā huuñ har-nafas ab kyā karūñ ab kyā karūñ
hae is majburi-e-zauq-e-nazar ko kya karun
wo mujhe dekhen na dekhen main unhen dekha karun
husn ke husn-e-nadamat ka taqaza hai ki aaj
sidq-e-dil se phir yaqin-e-wada-e-farda karun
main ne mana zamin-e-taskin-e-dil hai tark-e-shauq
lekin apne waqiat-e-zindagi ko kya karun
zindagi shayad azaem-parwari ka nam hai
sochta hun har-nafas ab kya karun ab kya karun
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 601)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.