hae kis darja be-makan hun main
haa.e kis darja be-makān huuñ maiñ
do zamānoñ ke darmiyān huuñ maiñ
jo likhī jā rahī hai kal ke liye
vo adhūrī sī dāstān huuñ maiñ
jis kī qīmat nahīñ hai ab koī
us rivāyat kā pāsbān huuñ maiñ
ā.īna dekh kar ye sochtā huuñ
kuchh haqīqat huuñ ki gumān huuñ maiñ
zindagī ab to mujh ko jaane de
kab se masrūf-e-imtihān huuñ maiñ
giit gaaye the jis kī ulfat ke
usī nagrī meñ be-amān huuñ maiñ
jiit āḳhir meñ haq kī honā hai
haañ abhī itnā ḳhush-gumān huuñ maiñ
hae kis darja be-makan hun main
do zamanon ke darmiyan hun main
jo likhi ja rahi hai kal ke liye
wo adhuri si dastan hun main
jis ki qimat nahin hai ab koi
us riwayat ka pasban hun main
aaina dekh kar ye sochta hun
kuchh haqiqat hun ki guman hun main
zindagi ab to mujh ko jaane de
kab se masruf-e-imtihan hun main
git gaye the jis ki ulfat ke
usi nagri mein be-aman hun main
jit aaKHir mein haq ki hona hai
han abhi itna KHush-guman hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.