haa.e sharm-e-dilbarī us dilrubā ke haath hai
is vafā kī aabrū us bevafā ke haath hai
jāntā hai kaam bande kā ḳhudā ke haath hai
dil mirā khulnā tire band-e-qabā ke haath hai
āh-e-girya saath hoñ ġhurbat meñ jab aatā hai dhyān
bekasī kahtī hai ye āb-o-havā ke haath hai
kab tak aaoge adam meñ pūchhte haiñ rāh-rau
kis se kahiye us taraf aanā qazā ke haath hai
haath uThātā huuñ ḳhudā ke sāmne maiñ ai 'rashīd'
DhūñDhnā bāb-e-ijābat ko duā ke haath hai
hae sharm-e-dilbari us dilruba ke hath hai
is wafa ki aabru us bewafa ke hath hai
jaanta hai kaam bande ka KHuda ke hath hai
dil mera khulna tere band-e-qaba ke hath hai
aah-e-girya sath hon ghurbat mein jab aata hai dhyan
bekasi kahti hai ye aab-o-hawa ke hath hai
kab tak aaoge adam mein puchhte hain rah-rau
kis se kahiye us taraf aana qaza ke hath hai
hath uThata hun KHuda ke samne main ai 'rashid'
DhunDhna bab-e-ijabat ko dua ke hath hai
Source :
- Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-151 page-134)
- Author : Piyare Sahab Rasheed
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.