hae wo log jo the ruh-o-rawan-e-dehli
hae wo log jo the ruh-o-rawan-e-dehli
Mohammad Ahsan Khan Ahsan
MORE BYMohammad Ahsan Khan Ahsan
haa.e vo log jo the rūh-o-ravān-e-dehlī
tā-dar-e-ḳhuld ga.e kar ke gumān-e-dehlī
ḳharra muusā sa.iqā kī hai tajallī paidā
buqa-e-nūr hai har ek makān-e-dehlī
chandni-chowk ko siina kaheñ aur qil.a ko sar
masjid-e-jāme ko Thahrā.eñ miyān-e-dehlī
lām-e-dehlī alam-o-hā.e kā shosha-e-parcham
ab to baaqī hai faqat nām-o-nishān-e-dehlī
kyā koī fitna hai ai charḳh-e-sitamgar baaqī
chashm-e-ḳhurshīd se kyuuñ hai nigrān-e-dehlī
ġham-e-barbādī-e-dehlī meñ bajā.e mai-e-nāb
ḳhūn-e-dil piite haiñ ab bāda-kashān-e-dehlī
ye mohabbat hai mujhe yaañ se ki ba.ad az murdan
rauzan-e-qabr se bhī huuñ nigrān-e-dehlī
kyā ajab hai ki yahī ḳhuld meñ bolī jaave
ahl-e-jannat ke pasand aa.e zabān-e-dehlī
siina 'ahsan' kā jo chīrā to ba-qaul-e-rizvāñ
dil-e-ḳhūñ-gashta pe hai dāġh-e-zabān-e-dehlī
hae wo log jo the ruh-o-rawan-e-dehli
ta-dar-e-KHuld gae kar ke guman-e-dehli
KHarra musa saiqa ki hai tajalli paida
buqa-e-nur hai har ek makan-e-dehli
chandni-chowk ko sina kahen aur qila ko sar
masjid-e-jame ko Thahraen miyan-e-dehli
lam-e-dehli alam-o-hae ka shosha-e-parcham
ab to baqi hai faqat nam-o-nishan-e-dehli
kya koi fitna hai ai charKH-e-sitamgar baqi
chashm-e-KHurshid se kyun hai nigran-e-dehli
gham-e-barbaadi-e-dehli mein bajae mai-e-nab
KHun-e-dil pite hain ab baada-kashan-e-dehli
ye mohabbat hai mujhe yan se ki baad az murdan
rauzan-e-qabr se bhi hun nigran-e-dehli
kya ajab hai ki yahi KHuld mein boli jawe
ahl-e-jannat ke pasand aae zaban-e-dehli
sina 'ahsan' ka jo chira to ba-qaul-e-rizwan
dil-e-KHun-gashta pe hai dagh-e-zaban-e-dehli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.