hae wo muskurae jate hain
haa.e vo muskurā.e jaate haiñ
do-jahāñ laḌkhaḌā.e jaate haiñ
ātishīñ husn daraḳhshanda jabīñ
mah-o-anjum pe chhā.e jaate haiñ
uf vo tāroñ kī mast chhāñv meñ
aap hī muskurā.e jaate haiñ
har tabassum hai ek afsāna
jis ko hañs kar sunā.e jaate haiñ
haa.e un mast añkhḌiyoñ kī qasam
do-jahāñ ko pilā.e jaate haiñ
mere rañgīn sheroñ ko 'parvez'
mujh se chhup kar vo gaay jaate haiñ
hae wo muskurae jate hain
do-jahan laDkhaDae jate hain
aatishin husn daraKHshanda jabin
mah-o-anjum pe chhae jate hain
uf wo taron ki mast chhanw mein
aap hi muskurae jate hain
har tabassum hai ek afsana
jis ko hans kar sunae jate hain
hae un mast ankhDiyon ki qasam
do-jahan ko pilae jate hain
mere rangin sheron ko 'parwez'
mujh se chhup kar wo gay jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.