hakim-e-shahr ki KHwahish ki hukumat ki jae
hākim-e-shahr kī ḳhvāhish ki hukūmat kī jaa.e
varna hālāt to aise haiñ ki hijrat kī jaa.e
ab to dene lage bachche bhī baḌoñ ko gaalī
jis ke bā'is ye huā is kī mazammat kī jaa.e
ab zarūrat hai ki sab mil ke bachā.eñ is ko
Dūbtī naav meñ hargiz na siyāsat kī jaa.e
vo to kahtā hai ki bas mujh ko mu'āfī de kar
shahr vāloñ meñ kisī se na ri'āyat kī jaa.e
maiñ to kahtā huuñ ki aivān se bāhar aa kar
ḳhilqat-e-shahr ke dil par bhī hukūmat kī jaa.e
tū to suntā hī nahīñ dost hamārī bāteñ
lekin itnā to batā kis se shikāyat kī jaa.e
ek hī 'ishq hai aur 'ishq kā matlab ye hai
is ke saa.e meñ ka.ī baar mohabbat kī jaa.e
daḳhl-andāz na ho is meñ zamāna 'anjum'
jab bhī kī jaa.e mohabbat to mohabbat kī jaa.e
hakim-e-shahr ki KHwahish ki hukumat ki jae
warna haalat to aise hain ki hijrat ki jae
ab to dene lage bachche bhi baDon ko gali
jis ke ba'is ye hua is ki mazammat ki jae
ab zarurat hai ki sab mil ke bachaen is ko
Dubti naw mein hargiz na siyasat ki jae
wo to kahta hai ki bas mujh ko mu'afi de kar
shahr walon mein kisi se na ri'ayat ki jae
main to kahta hun ki aiwan se bahar aa kar
KHilqat-e-shahr ke dil par bhi hukumat ki jae
tu to sunta hi nahin dost hamari baaten
lekin itna to bata kis se shikayat ki jae
ek hi 'ishq hai aur 'ishq ka matlab ye hai
is ke sae mein kai bar mohabbat ki jae
daKHl-andaz na ho is mein zamana 'anjum'
jab bhi ki jae mohabbat to mohabbat ki jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.