haal ab tang hai zamane ka
haal ab tañg hai zamāne kā
rañg be-rañg hai zamāne kā
nahīñ kotāh us kā dast-e-talab
ye gadā nañg hai zamāne kā
ek dam chain se na koī rahe
yahī āhañg hai zamāne kā
sarkashoñ kā rahā na nām-o-nishāñ
zor-e-sar chañg hai zamāne kā
ai jafā-kār dahr meñ tujh bin
kaun ham-sañg hai zamāne kā
jhuuT maiñ ne kahā tire hāthoñ
qāfiya tañg hai zamāne kā
chal nikal jald yaañ se ai 'joshish'
Dhañg be-Dhañg hai zamāne kā
haal ab tang hai zamane ka
rang be-rang hai zamane ka
nahin kotah us ka dast-e-talab
ye gada nang hai zamane ka
ek dam chain se na koi rahe
yahi aahang hai zamane ka
sarkashon ka raha na nam-o-nishan
zor-e-sar chang hai zamane ka
ai jafa-kar dahr mein tujh bin
kaun ham-sang hai zamane ka
jhuT main ne kaha tere hathon
qafiya tang hai zamane ka
chal nikal jald yan se ai 'joshish'
Dhang be-Dhang hai zamane ka
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.