haal badla hi nahin ab tak dil-e-dil-gir ka
haal badlā hī nahīñ ab tak dil-e-dil-gīr kā
kuchh sabab batlā.īyegā aap is tāḳhīr kā
ham fanā kī had se aage baḌh ga.e the ishq meñ
is se aage kyā likheñ ham qissa ab tadbīr kā
maiñ bahā aayā huuñ ḳhat gañgā meñ apne pyaar ke
jo kaleja se lagī hai kyā karūñ tasvīr kā
kal talak da.avā thā badleñge mizāj-e-vaqt aap
aaj ronā ro rahe haiñ aap bhī taqdīr kā
kyā samajh pā.egā vo sho.aloñ pe chalne kā maza
ilm hī jis ko nahīñ ho ishq kī tāsīr kā
āshiqoñ ko marham-e-nāsūr de kar vo ga.e
ye baḌā ehsān hai ham par hamāre miir kā
ruuh kā panchhī taḌaptā hai badan kī qaid meñ
ham to ab sunte nahīñ haiñ shor bhī zanjīr kā
nāznīñ poshīda hai mere qalam kī bāhoñ meñ
tū faqat matlab samajh is meñ chhapī tahrīr kā
apne bachchoñ ko sunāo tum hamārī dāstāñ
ab purānā ho gayā hai qissa rāñjhā hiir kā
har javānī ko buḌhāpā ek din aatā hī hai
rañg ab uḌne lagā hai ziist kī tahrīr kā
haal badla hi nahin ab tak dil-e-dil-gir ka
kuchh sabab batlaiyega aap is taKHir ka
hum fana ki had se aage baDh gae the ishq mein
is se aage kya likhen hum qissa ab tadbir ka
main baha aaya hun KHat ganga mein apne pyar ke
jo kaleja se lagi hai kya karun taswir ka
kal talak dawa tha badlenge mizaj-e-waqt aap
aaj rona ro rahe hain aap bhi taqdir ka
kya samajh paega wo shoalon pe chalne ka maza
ilm hi jis ko nahin ho ishq ki tasir ka
aashiqon ko marham-e-nasur de kar wo gae
ye baDa ehsan hai hum par hamare mir ka
ruh ka panchhi taDapta hai badan ki qaid mein
hum to ab sunte nahin hain shor bhi zanjir ka
naznin poshida hai mere qalam ki bahon mein
tu faqat matlab samajh is mein chhapi tahrir ka
apne bachchon ko sunao tum hamari dastan
ab purana ho gaya hai qissa ranjha hir ka
har jawani ko buDhapa ek din aata hi hai
rang ab uDne laga hai zist ki tahrir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.