haal dil ka bayan na ho jae
haal dil kā bayāñ na ho jaa.e
be-zabānī zabāñ na ho jaa.e
zindagī kā ye muḳhtasar lamha
sarf-e-āh-o-fuġhāñ na ho jaa.e
mujh se chhup-chhup ke aap kā milnā
ishq kī dāstāñ na ho jaa.e
aap kī iltifāt-e-behad se
dil kahīñ bad-gumāñ na ho jaa.e
dil meñ samjhā hai mehrbāñ jis ko
vahī nā-mehrbāñ na ho jaa.e
Dar hai 'shākir' ki āshiyāñ apnā
nazr-e-barq-e-tapāñ na ho jaa.e
haal dil ka bayan na ho jae
be-zabani zaban na ho jae
zindagi ka ye muKHtasar lamha
sarf-e-ah-o-fughan na ho jae
mujh se chhup-chhup ke aap ka milna
ishq ki dastan na ho jae
aap ki iltifat-e-behad se
dil kahin bad-guman na ho jae
dil mein samjha hai mehrban jis ko
wahi na-mehrban na ho jae
Dar hai 'shakir' ki aashiyan apna
nazr-e-barq-e-tapan na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.