haal-e-dil-e-tabah kisi ne suna kahan
hāl-e-dil-e-tabāh kisī ne sunā kahāñ
pūchhe magar koī to lab-e-mudda.ā kahāñ
tai kar rahā huuñ ḳhvāb-o-haqīqat ke fāsle
maanā ki maiñ kahāñ tirī āvāz-e-pā kahāñ
aalam tamām pairahan-e-tār-tār hai
mahshar sukūt-e-nīm-shabī kā uThā kahāñ
vo dard justujū-e-gul-e-naġhma thī jise
ḳhud apne reg-zār meñ gum ho gayā kahāñ
is darja be-ruḳhī pe pashemāñ na ho koī
ḳhud mujh ko ehtirām-e-shu.ūr-e-vafā kahāñ
haal-e-dil-e-tabah kisi ne suna kahan
puchhe magar koi to lab-e-muddaa kahan
tai kar raha hun KHwab-o-haqiqat ke fasle
mana ki main kahan teri aawaz-e-pa kahan
aalam tamam pairahan-e-tar-tar hai
mahshar sukut-e-nim-shabi ka uTha kahan
wo dard justuju-e-gul-e-naghma thi jise
KHud apne reg-zar mein gum ho gaya kahan
is darja be-ruKHi pe pasheman na ho koi
KHud mujh ko ehtiram-e-shuur-e-wafa kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.