haal-e-dil sab se chhupane mein maza aata hai
hāl-e-dil sab se chhupāne meñ maza aatā hai
aap pūchheñ to batāne meñ maza aatā hai
raushnī bojh sī lagtī hai shab-e-hijrāñ meñ
haañ magar dil ko jalāne meñ maza aatā hai
jis ke kuchh taar ulajh jaate haiñ dil kī sūrat
bas usī saaz pe gaane meñ maza aatā hai
jaañ bachāne kā tasavvur bhī burā lagtā hai
ishq meñ jaan gañvāne meñ maza aatā hai
yaad kar kar ke vo garmī kī bharī do-pahreñ
pahlī bārish meñ nahāne meñ maza aatā hai
haal-e-dil sab se chhupane mein maza aata hai
aap puchhen to batane mein maza aata hai
raushni bojh si lagti hai shab-e-hijran mein
han magar dil ko jalane mein maza aata hai
jis ke kuchh tar ulajh jate hain dil ki surat
bas usi saz pe gane mein maza aata hai
jaan bachane ka tasawwur bhi bura lagta hai
ishq mein jaan ganwane mein maza aata hai
yaad kar kar ke wo garmi ki bhari do-pahren
pahli barish mein nahane mein maza aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.