haal-e-dil sunane mein umr bit jati hai
hāl-e-dil sunāne meñ umr biit jaatī hai
dil meñ ghar banāne meñ umr biit jaatī hai
yuuñ to roz kahte haiñ un ko bhuul jā.eñge
haañ magar bhulāne meñ umr biit jaatī hai
yuuñ to muskurāne ko roz muskurāte haiñ
khul ke muskurāne meñ umr biit jaatī hai
zindagī hamesha jab tīrgī kī zad meñ ho
sham.a ik jalāne meñ umr biit jaatī hai
shauq-e-justujū meñ ham lā-makāñ se guzre haiñ
ḳhud ko āzmāne meñ umr biit jaatī hai
is liye nahīñ karte un se koī va.ada ham
va.ade ke nibhāne meñ umr biit jaatī hai
maut zindagī meñ kuchh fāsla nahīñ lekin
phir bhī aane jaane meñ umr biit jaatī hai
tinkā tinkā joḌā hai ham ne rāt-din 'aḳhtar'
āshiyāñ sajāne meñ umr biit jaatī hai
haal-e-dil sunane mein umr bit jati hai
dil mein ghar banane mein umr bit jati hai
yun to roz kahte hain un ko bhul jaenge
han magar bhulane mein umr bit jati hai
yun to muskurane ko roz muskuraate hain
khul ke muskurane mein umr bit jati hai
zindagi hamesha jab tirgi ki zad mein ho
shama ek jalane mein umr bit jati hai
shauq-e-justuju mein hum la-makan se guzre hain
KHud ko aazmane mein umr bit jati hai
is liye nahin karte un se koi wada hum
wade ke nibhane mein umr bit jati hai
maut zindagi mein kuchh fasla nahin lekin
phir bhi aane jaane mein umr bit jati hai
tinka tinka joDa hai hum ne raat-din 'aKHtar'
aashiyan sajaane mein umr bit jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.