haal-e-dil tujh pe aashkar kiya
hāl-e-dil tujh pe āshkār kiyā
ziist ko apnī ḳhush-gavār kiyā
soz-e-dil kā ġham-e-mohabbat kā
tazkira ham ne baar baar kiyā
ham na ġhāfil rahe kisī lamha
apnī har saañs kā shumār kiyā
ho ga.e ham halāk ḳhud lekin
bāġh-e-hastī ko pur-bahār kiyā
kashmakash meñ guzār dī sab umr
ham ne kab aish iḳhtiyār kiyā
kī na taqlīd ham ne ġhairoñ kī
apne mālik pe e.atibār kiyā
jab bahut muztarib hue 'sāqī'
apnī hastī ko tār-tār kiyā
haal-e-dil tujh pe aashkar kiya
zist ko apni KHush-gawar kiya
soz-e-dil ka gham-e-mohabbat ka
tazkira hum ne bar bar kiya
hum na ghafil rahe kisi lamha
apni har sans ka shumar kiya
ho gae hum halak KHud lekin
bagh-e-hasti ko pur-bahaar kiya
kashmakash mein guzar di sab umr
hum ne kab aish iKHtiyar kiya
ki na taqlid hum ne ghairon ki
apne malik pe eatibar kiya
jab bahut muztarib hue 'saqi'
apni hasti ko tar-tar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.