haal-e-hijab qabil-e-sharh-o-bayan nahin
hāl-e-hijāb qābil-e-sharh-o-bayāñ nahīñ
aañsū na Tapke sun ke ye vo dāstāñ nahīñ
dil meñ jigar meñ siine meñ pahlū meñ aañkh meñ
ai 'ishq terī sho.ala-fishānī kahāñ nahīñ
karte ho qatl bul-havasoñ ko ġhazab hai ye
samjhe ho tum magar koī 'āshiq yahāñ nahīñ
pūchho na hāl-e-zār mirā tum se kyā kahūñ
gum-karda rāh-e-bāġh huuñ yaad āshiyāñ nahīñ
ham bhī ḳharīd lete tire zulm ke liye
bāzār-e-dahr meñ koī dil kī dukāñ nahīñ
dete haiñ chheḌ chheḌ ke kyuuñ mujh ko gāliyāñ
samjhe hue haiñ vo mire muñh meñ zabān nahīñ
vo aur mere ghar meñ chale aa.eñ ḳhud-baḳhud
sar par mire hijāb magar āsmāñ nahīñ
haal-e-hijab qabil-e-sharh-o-bayan nahin
aansu na Tapke sun ke ye wo dastan nahin
dil mein jigar mein sine mein pahlu mein aankh mein
ai 'ishq teri shoala-fishani kahan nahin
karte ho qatl bul-hawason ko ghazab hai ye
samjhe ho tum magar koi 'ashiq yahan nahin
puchho na haal-e-zar mera tum se kya kahun
gum-karda rah-e-bagh hun yaad aashiyan nahin
hum bhi KHarid lete tere zulm ke liye
bazar-e-dahr mein koi dil ki dukan nahin
dete hain chheD chheD ke kyun mujh ko galiyan
samjhe hue hain wo mere munh mein zaban nahin
wo aur mere ghar mein chale aaen KHud-baKHud
sar par mere hijab magar aasman nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.