haal khulta nahin jabinon se
haal khultā nahīñ jabīnoñ se
ranj uThā.e haiñ jin qarīnoñ se
raat āhista-gām utrī hai
dard ke māhtāb zīnoñ se
ham ne sochā na us ne jaanā hai
dil bhī hote haiñ ābgīnoñ se
kaun legā sharār-e-jāñ kā hisāb
dast-e-imroz ke dafīnoñ se
tū ne mizhgāñ uThā ke dekhā bhī
shahr ḳhālī na thā makīnoñ se
āshnā āshnā payām aa.e
ajnabī ajnabī zamīnoñ se
jī ko ārām aa gayā hai 'adā'
kabhī tūfāñ kabhī safīnoñ se
haal khulta nahin jabinon se
ranj uThae hain jin qarinon se
raat aahista-gam utri hai
dard ke mahtab zinon se
hum ne socha na us ne jaana hai
dil bhi hote hain aabginon se
kaun lega sharar-e-jaan ka hisab
dast-e-imroz ke dafinon se
tu ne mizhgan uTha ke dekha bhi
shahr KHali na tha makinon se
aashna aashna payam aae
ajnabi ajnabi zaminon se
ji ko aaram aa gaya hai 'ada'
kabhi tufan kabhi safinon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.