haal puchhna us ka mera muskura dena
haal pūchhnā us kā merā muskurā denā
bas isī ta.alluq par zindagī bitā denā
ishq ishq kā hāsil ishq ishq kī manzil
tum bhī dil ke sāhil par kashtiyāñ jalā denā
qurbatoñ ke mausam to iḳhtilāf meñ guzre
Thiik thā mohabbat ko hijr kā patā denā
uñgliyoñ pe kyā guzrī uñgliyoñ se kar mālūm
tere naam ko likhnā aur phir miTā denā
haal puchhna us ka mera muskura dena
bas isi talluq par zindagi bita dena
ishq ishq ka hasil ishq ishq ki manzil
tum bhi dil ke sahil par kashtiyan jala dena
qurbaton ke mausam to iKHtilaf mein guzre
Thik tha mohabbat ko hijr ka pata dena
ungliyon pe kya guzri ungliyon se kar malum
tere nam ko likhna aur phir miTa dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.