haalat ab to itne dushwar ho gae hain
hālāt ab to itne dushvār ho ga.e haiñ
ham nīm-shab meñ aksar bedār ho ga.e haiñ
jo log sāda-dil the purkār ho ga.e haiñ
ab aadmī ke rishte dushvār ho ga.e haiñ
ye zindagī kī ne'mat kis ko nahīñ hai pyārī
mat pūchh is se ham kyuuñ bezār ho ga.e haiñ
usrat meñ jin kā sheva kal tak thā ḳhud-faroshī
daulat ke milte hī vo ḳhuddār ho ga.e haiñ
dushman ko ho gayā hai andāza kuchh hamārā
dushman se ham bhī lekin hoshyār ho ga.e haiñ
mātam nahīñ munāsib ab jaan ke jahāñ kā
dasht-e-talab ke raste hamvār ho ga.e haiñ
haalat ab to itne dushwar ho gae hain
hum nim-shab mein aksar bedar ho gae hain
jo log sada-dil the purkar ho gae hain
ab aadmi ke rishte dushwar ho gae hain
ye zindagi ki ne'mat kis ko nahin hai pyari
mat puchh is se hum kyun bezar ho gae hain
usrat mein jin ka shewa kal tak tha KHud-faroshi
daulat ke milte hi wo KHuddar ho gae hain
dushman ko ho gaya hai andaza kuchh hamara
dushman se hum bhi lekin hoshyar ho gae hain
matam nahin munasib ab jaan ke jahan ka
dasht-e-talab ke raste hamwar ho gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.