han dhanak ke rang sare khul gae
haañ dhanak ke rañg saare khul ga.e
mujh pe tere sab ishāre khul ga.e
ek to ham khel meñ bhī the na.e
us pe patte bhī hamāre khul ga.e
jhiil meñ āñkhoñ kī tum utre hī the
aur ḳhvāboñ ke shikāre khul ga.e
narm hī thī yaad kī har pankhuḌī
phir bhī mere zaḳhm saare khul ga.e
mujh ko jakḌe the ka.ī bandhan magar
tere bandhan ke sahāre khul ga.e
sulh āḳhir ho ga.ī jhagḌā miTā
bhed to lekin hamāre khul ga.e
han dhanak ke rang sare khul gae
mujh pe tere sab ishaare khul gae
ek to hum khel mein bhi the nae
us pe patte bhi hamare khul gae
jhil mein aankhon ki tum utre hi the
aur KHwabon ke shikare khul gae
narm hi thi yaad ki har pankhuDi
phir bhi mere zaKHm sare khul gae
mujh ko jakDe the kai bandhan magar
tere bandhan ke sahaare khul gae
sulh aaKHir ho gai jhagDa miTa
bhed to lekin hamare khul gae
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 48)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.