han hamein mir ka diwan nahin hona hai
haañ hameñ 'mīr' kā dīvān nahīñ honā hai
aap se mil ke pareshān nahīñ honā hai
ham ki ḳhud apne liye apnī anā se kheleñ
un kī tafrīh kā sāmān nahīñ honā hai
ḳhairiyat chāhne vaalo meñ tirī yaad kā zikr
bharī mahfil meñ bayābān nahīñ honā hai
laakh ummīd khilātī rahe āñkhoñ meñ gulāb
is samundar ko gulistāñ nahīñ honā hai
ḳhāk-e-dil se hī uThe ab ke ġhubār-e-mahtāb
āsmāñ se koī elaan nahīñ honā hai
han hamein 'mir' ka diwan nahin hona hai
aap se mil ke pareshan nahin hona hai
hum ki KHud apne liye apni ana se khelen
un ki tafrih ka saman nahin hona hai
KHairiyat chahne walo mein teri yaad ka zikr
bhari mahfil mein bayaban nahin hona hai
lakh ummid khilati rahe aankhon mein gulab
is samundar ko gulistan nahin hona hai
KHak-e-dil se hi uThe ab ke ghubar-e-mahtab
aasman se koi elan nahin hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.