han tera intizar hai ab tak
haañ tirā intizār hai ab tak
mujh meñ ik jāñ-nisār hai ab tak
vo jo merā kabhī huā hī nahīñ
us kā hī iḳhtiyār hai ab tak
koī ummīd to nahīñ phir bhī
ik hasīñ intizār hai ab tak
kyā ye āvārgī kī manzil hai
har qadam sū-e-yār hai ab tak
har janam aag meñ jalī siitā
phir bhī vo dāġhdār hai ab tak
han tera intizar hai ab tak
mujh mein ek jaan-nisar hai ab tak
wo jo mera kabhi hua hi nahin
us ka hi iKHtiyar hai ab tak
koi ummid to nahin phir bhi
ek hasin intizar hai ab tak
kya ye aawargi ki manzil hai
har qadam su-e-yar hai ab tak
har janam aag mein jali sita
phir bhi wo daghdar hai ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.