han tere pyar ki bahaar hun main
haañ tire pyaar kī bahār huuñ maiñ
is kahānī kā iḳhtisār huuñ maiñ
be-qarārī meñ ik qarār huuñ maiñ
zarre-zarre se āshkār huuñ maiñ
ai mirī ziist kī hasīñ ummīd
sub.h kā terī e'tibār huuñ maiñ
mish.al-e-rāh zindagī hai tū
aur manzil kī rāzdār huuñ maiñ
kaun jānegā kaun samjhegā
kis qadar kitnī be-qarār huuñ maiñ
mirī āñkhoñ kī raushnī hai tū
tū hai sūraj tirā hisār huuñ maiñ
zulmatoñ ke ḳhilāf ai 'rāje'
ek shamshīr-e-āb-dār huuñ maiñ
han tere pyar ki bahaar hun main
is kahani ka iKHtisar hun main
be-qarari mein ek qarar hun main
zarre-zarre se aashkar hun main
ai meri zist ki hasin ummid
subh ka teri e'tibar hun main
mishal-e-rah zindagi hai tu
aur manzil ki raazdar hun main
kaun jaanega kaun samjhega
kis qadar kitni be-qarar hun main
meri aankhon ki raushni hai tu
tu hai suraj tera hisar hun main
zulmaton ke KHilaf ai 'raje'
ek shamshir-e-ab-dar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.