han un se meri tarz-e-mulaqat alag hai
han un se meri tarz-e-mulaqat alag hai
Nadim Ashrafi Burhanpuri
MORE BYNadim Ashrafi Burhanpuri
haañ un se mirī tarz-e-mulāqāt alag hai
dīvāna huuñ maiñ merī har ik baat alag hai
ye dard ye sozish ye ḳhalish aur ye aañsū
jo aap ne baḳhshī hai vo sauġhāt alag hai
tum sozish-e-hālāt se kis tarah bachoge
maiñ ḳhair se jī lūñgā mirī baat alag hai
hai jurm yahāñ ārzū-e-sub.h-e-daraḳhshāñ
har raat se ai dost mirī raat alag hai
kuchh der baras kar nahīñ thamte mire aañsū
mausam ye nirālā hai ye barsāt alag hai
vo dhuup maiñ shabnam vo sharar aur maiñ paanī
hai us kī judā hastī mirī zaat alag hai
han un se meri tarz-e-mulaqat alag hai
diwana hun main meri har ek baat alag hai
ye dard ye sozish ye KHalish aur ye aansu
jo aap ne baKHshi hai wo saughat alag hai
tum sozish-e-haalat se kis tarah bachoge
main KHair se ji lunga meri baat alag hai
hai jurm yahan aarzu-e-subh-e-daraKHshan
har raat se ai dost meri raat alag hai
kuchh der baras kar nahin thamte mere aansu
mausam ye nirala hai ye barsat alag hai
wo dhup main shabnam wo sharar aur main pani
hai us ki juda hasti meri zat alag hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.