han wo main hi hun ki jis ke hain yahan pursan bahut
haañ vo maiñ hī huuñ ki jis ke haiñ yahāñ pursāñ bahut
aa.ina hai dekh kar sūrat mirī hairāñ bahut
is nadī meñ paar utarne ke haiñ andeshe hazār
aur is meñ Duub jaane ke bhī haiñ imkāñ bahut
darmiyāñ rashk-o-hasad ke aaj bhī uljhe haiñ log
thā garāñ kal bhī ilāj-e-tishnagī-dāmāñ bahut
jis ghaḌī TuuTā thā donoñ ke ta.alluq kā tilism
āsmāñ hairāñ huā thā aur zamīñ giryāñ bahut
har muhājir ke ilāj-e-ġham kī tarjīhāt meñ
ham-zabāñ mil jaanā bhī hai dard kā darmāñ bahut
han wo main hi hun ki jis ke hain yahan pursan bahut
aaina hai dekh kar surat meri hairan bahut
is nadi mein par utarne ke hain andeshe hazar
aur is mein Dub jaane ke bhi hain imkan bahut
darmiyan rashk-o-hasad ke aaj bhi uljhe hain log
tha garan kal bhi ilaj-e-tishnagi-daman bahut
jis ghaDi TuTa tha donon ke talluq ka tilism
aasman hairan hua tha aur zamin giryan bahut
har muhajir ke ilaj-e-gham ki tarjihat mein
ham-zaban mil jaana bhi hai dard ka darman bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.