han ye badli kali kali jaegi
haañ ye badlī kaalī kaalī jā.egī
pāk-bāzoñ meñ bhī Dhālī jā.egī
tauba kī rindoñ meñ gunjā.ish kahāñ
jab ye aa.egī nikālī jā.egī
kuchh balā-nosh aa ga.e bhaTTī meñ shaiḳh
terī botal aaj ḳhālī jā.egī
phuul kyā Dāloge turbat par mirī
ḳhaak bhī tum se na Daalī jā.egī
jā.iye ham apnā bahlā leñge dil
dil-lagī koī nikālī jā.egī
aa.e bhī to vo 'mubārak' aa.e kyā
jaane kī tamhīd Daalī jā.egī
han ye badli kali kali jaegi
pak-bazon mein bhi Dhaali jaegi
tauba ki rindon mein gunjaish kahan
jab ye aaegi nikali jaegi
kuchh bala-nosh aa gae bhaTTi mein shaiKH
teri botal aaj KHali jaegi
phul kya Daloge turbat par meri
KHak bhi tum se na Dali jaegi
jaiye hum apna bahla lenge dil
dil-lagi koi nikali jaegi
aae bhi to wo 'mubarak' aae kya
jaane ki tamhid Dali jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.