haare hue logon ki kahani ki tarah hain
haare hue logoñ kī kahānī kī tarah haiñ
ham log bhī bahte hue paanī kī tarah haiñ
duniyā tire hone kā yaqīñ kyuuñ nahīñ kartī
ham bhī to yahāñ terī nishānī kī tarah haiñ
chupke se guzarte haiñ ḳhabar bhī nahīñ hotī
din raat bhī kam-baḳht javānī kī tarah haiñ
gar naam kamānā hai tumheñ itnā samajh lo
aañsū bhī mohabbat kī nishānī kī tarah haiñ
is baar hai honā bhī na hone ke barābar
is baar to ham jaise kahānī kī tarah haiñ
haare hue logon ki kahani ki tarah hain
hum log bhi bahte hue pani ki tarah hain
duniya tere hone ka yaqin kyun nahin karti
hum bhi to yahan teri nishani ki tarah hain
chupke se guzarte hain KHabar bhi nahin hoti
din raat bhi kam-baKHt jawani ki tarah hain
gar nam kamana hai tumhein itna samajh lo
aansu bhi mohabbat ki nishani ki tarah hain
is bar hai hona bhi na hone ke barabar
is bar to hum jaise kahani ki tarah hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.