hasil-e-fan hai bas kalam ki dad
hāsil-e-fan hai bas kalām kī daad
varna miltī hai sab ko naam kī daad
kis qadar be-ruḳhī se miltā hai
dushman-e-jāñ tire salām kī daad
jurm ġhurbat pe jā ke lagtā hai
vaise bantī hai is nizām kī daad
ḳhūbsūrat hai kā.enāt bahut
ḳhāliq-e-husn-e-intizām kī daad
ishq miltā hai hijr ke hī evaz
ai dukāñ-dār tere daam kī daad
mai-kade se nikalte miltī hai
hosh vāloñ ko mere jaam kī daad
aap ne naqs to nikālā nahīñ
aap kī daad kab hai kaam kī daad
sahtī rahtī huuñ vahshateñ 'mariyam'
sub.h miltī hai mujh ko shaam kī daad
hasil-e-fan hai bas kalam ki dad
warna milti hai sab ko nam ki dad
kis qadar be-ruKHi se milta hai
dushman-e-jaan tere salam ki dad
jurm ghurbat pe ja ke lagta hai
waise banti hai is nizam ki dad
KHubsurat hai kaenat bahut
KHaliq-e-husn-e-intizam ki dad
ishq milta hai hijr ke hi ewaz
ai dukan-dar tere dam ki dad
mai-kade se nikalte milti hai
hosh walon ko mere jam ki dad
aap ne naqs to nikala nahin
aap ki dad kab hai kaam ki dad
sahti rahti hun wahshaten 'mariyam'
subh milti hai mujh ko sham ki dad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.