hasil-e-intizar kuchh bhi nahin
hāsil-e-intizār kuchh bhī nahīñ
ya.anī anjām-kār kuchh bhī nahīñ
hasrat-e-vasl ke muqābil meñ
kulfat-e-intizār kuchh bhī nahīñ
dasht meñ kuchh nahīñ sarāb to hai
baaġh meñ gul na ḳhaar kuchh bhī nahīñ
kis se apnī shanāḳht lete ho
aa.ina juz ġhubār kuchh bhī nahīñ
dil meñ jhāñko mire agar to khule
dāman-e-tār taar kuchh bhī nahīñ
kaun ham se mile ki paas apne
juz dil-e-dāġhdār kuchh bhī nahīñ
aa nafas do nafas ko mil baiTheñ
saañs kā e'tibār kuchh bhī nahīñ
hasil-e-intizar kuchh bhi nahin
yani anjam-kar kuchh bhi nahin
hasrat-e-wasl ke muqabil mein
kulfat-e-intizar kuchh bhi nahin
dasht mein kuchh nahin sarab to hai
bagh mein gul na KHar kuchh bhi nahin
kis se apni shanaKHt lete ho
aaina juz ghubar kuchh bhi nahin
dil mein jhanko mere agar to khule
daman-e-tar tar kuchh bhi nahin
kaun hum se mile ki pas apne
juz dil-e-daghdar kuchh bhi nahin
aa nafas do nafas ko mil baiThen
sans ka e'tibar kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.