hasil-e-mohabbat mein gham bahut zaruri hai
hāsil-e-mohabbat meñ ġham bahut zarūrī hai
ye agar nahīñ to phir shā.irī adhūrī hai
pyaar bin mukammal kab aadmī huā jānāñ
pyaar jo nahīñ to phir zindagī adhūrī hai
chāhatoñ kī rut ho to dhuup dhuup mausam meñ
har qadam pe hai shimla har qadam masūrī hai
svābhimān se baḌh kar kuchh nahīñ hai jīvan meñ
phir ye kyoñ ḳhushāmad hai kyoñ ye jī huzūrī hai
jāgte hue aksar ḳhvāb dekhne vāloñ
ḳhvāb bhī zarūrī hai niiñd bhī zarūrī hai
sabr 'anjanā' mujh se pūchhtā hī rahtā hai
yaar ke milan meñ ab aur kitnī duurī hai
hasil-e-mohabbat mein gham bahut zaruri hai
ye agar nahin to phir shairi adhuri hai
pyar bin mukammal kab aadmi hua jaanan
pyar jo nahin to phir zindagi adhuri hai
chahaton ki rut ho to dhup dhup mausam mein
har qadam pe hai shimla har qadam masuri hai
swabhiman se baDh kar kuchh nahin hai jiwan mein
phir ye kyon KHushamad hai kyon ye ji huzuri hai
jagte hue aksar KHwab dekhne walon
KHwab bhi zaruri hai nind bhi zaruri hai
sabr 'anjana' mujh se puchhta hi rahta hai
yar ke milan mein ab aur kitni duri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.