hasil ho kuchh maash ye mehnat ki baat hai
hāsil ho kuchh ma'āsh ye mehnat kī baat hai
lekin surūr-e-qalb ye qismat kī baat hai
aapas kī vaah vaah liyāqat kī baat hai
sarkār kī qubūl ye hikmat kī baat hai
vo muḳhbir-e-raqīb hai maiñ huuñ shahīd-e-‘ishq
ye apnī apnī himmat-o-ġhairat kī baat hai
b.a bhī paas hoñ mile biibī bhī dil-pasand
mehnat kī hai vo baat ye qismat kī baat hai
tahzīb-e-maġhribī meñ hai bose talak mu'āf
is se agar baḌho to sharārat kī baat hai
hasil ho kuchh ma'ash ye mehnat ki baat hai
lekin surur-e-qalb ye qismat ki baat hai
aapas ki wah wah liyaqat ki baat hai
sarkar ki qubul ye hikmat ki baat hai
wo muKHbir-e-raqib hai main hun shahid-e-‘ishq
ye apni apni himmat-o-ghairat ki baat hai
ba bhi pas hon mile bibi bhi dil-pasand
mehnat ki hai wo baat ye qismat ki baat hai
tahzib-e-maghribi mein hai bose talak mu'af
is se agar baDho to shararat ki baat hai
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 98)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.