hath aae to wahi daman-e-jaanan ho jae
haath aa.e to vahī dāman-e-jānāñ ho jaa.e
chhūT jaa.e to vahī apnā garebāñ ho jaa.e
ishq ab bhī hai vo mahram-e-be-gāna-numā
husn yuuñ laakh chhupe laakh numāyāñ ho jaa.e
hosh-o-ġhaflat se bahut duur hai kaifiyyat-e-ishq
us kī har be-ḳhabarī manzil-e-irfāñ ho jaa.e
yaad aatī hai jab apnī to taḌap jaatā huuñ
merī hastī tirā bhūlā havā paimāñ ho jaa.e
aañkh vo hai jo tirī jalva-gah-e-nāz bane
dil vahī hai jo sarāpā tirā armāñ ho jaa.e
pāk-bāzān-e-mohabbat meñ jo bebākī hai
husn gar us ko samajh le to pashemāñ ho jaa.e
sahl ho kar hui dushvār mohabbat terī
use mushkil jo banā leñ to kuchh āsāñ ho jaa.e
ishq phir ishq hai jis ruup meñ jis bhes meñ ho
ishrat-e-vasl bane yā ġham-e-hijrāñ ho jaa.e
kuchh mudāvā bhī ho majrūh diloñ kā ai dost
marham-e-zaḳhm tirā jaur-pashemāñ ho jaa.e
ye bhī sach hai koī ulfat meñ pareshāñ kyuuñ ho
ye bhī sach hai koī kyūñkar na pareshāñ ho jaa.e
ishq ko arz-e-tamannā meñ bhī lākhoñ pas-o-pesh
husn ke vāste inkār bhī āsāñ ho jaa.e
jhilmilātī hai sar-e-bazm-e-jahāñ sham-e-ḳhudī
jo ye bujh jaa.e charāġh-e-rah-e-irfāñ ho jaa.e
sar-e-shorīda diyā dasht-o-bayābāñ bhī diye
ye mirī ḳhūbī-e-qismat ki vo zindāñ ho jaa.e
uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai 'firāq'
kabhī lā-hal kabhī mushkil kabhī āsāñ ho jaa.e
hath aae to wahi daman-e-jaanan ho jae
chhuT jae to wahi apna gareban ho jae
ishq ab bhi hai wo mahram-e-be-gana-numa
husn yun lakh chhupe lakh numayan ho jae
hosh-o-ghaflat se bahut dur hai kaifiyyat-e-ishq
us ki har be-KHabari manzil-e-irfan ho jae
yaad aati hai jab apni to taDap jata hun
meri hasti tera bhula hawa paiman ho jae
aankh wo hai jo teri jalwa-gah-e-naz bane
dil wahi hai jo sarapa tera arman ho jae
pak-bazan-e-mohabbat mein jo bebaki hai
husn gar us ko samajh le to pasheman ho jae
sahl ho kar hui dushwar mohabbat teri
use mushkil jo bana len to kuchh aasan ho jae
ishq phir ishq hai jis rup mein jis bhes mein ho
ishrat-e-wasl bane ya gham-e-hijran ho jae
kuchh mudawa bhi ho majruh dilon ka ai dost
marham-e-zaKHm tera jaur-pasheman ho jae
ye bhi sach hai koi ulfat mein pareshan kyun ho
ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshan ho jae
ishq ko arz-e-tamanna mein bhi lakhon pas-o-pesh
husn ke waste inkar bhi aasan ho jae
jhilmilati hai sar-e-bazm-e-jahan sham-e-KHudi
jo ye bujh jae charagh-e-rah-e-irfan ho jae
sar-e-shorida diya dasht-o-bayaban bhi diye
ye meri KHubi-e-qismat ki wo zindan ho jae
uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai 'firaq'
kabhi la-hal kabhi mushkil kabhi aasan ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.