hath hamare sab se unche hathon hi se gila bhi hai
haath hamāre sab se ūñche hāthoñ hī se gila bhī hai
ghar aise ko sauñp diyā jo aag bhī hai aur havā bhī hai
apnī anā kā jaal kisī din pāgal-pan meñ toḌūñgā
apnī anā ke jaal ko maiñ ne pāgal-pan meñ bunā bhī hai
diye ke jalne aur bujhne kā bhed samajh meñ aa.e to kyā
isī havā se jal bhī rahā thā isī havā se bujhā bhī hai
raushniyoñ pe paañv jamā ke chalnā ham ko aayā nahīñ
vaise dar-e-ḳhurshīd to ham par gaahe gaahe khulā bhī hai
dard kī jhil-mil raushniyoñ se baara ḳhvāb kī duurī par
ham ne dekhī ek dhanak jo sho.ala bhī hai sadā bhī hai
tez havā ke saath chalā hai zard musāfir mausam kā
os ne dāman thaam liyā to pal-do-pal ko rukā bhī hai
sāhil jaisī umar meñ ham se sāgar ne ik baat na kī
lahroñ ne to jaane kyā kyā kahā bhī hai aur sunā bhī hai
ishq to ik ilzām hai us kā vasl kā to bas naam huā
vo aayā thā qātil ban ke qatl hī kar ke gayā bhī hai
hath hamare sab se unche hathon hi se gila bhi hai
ghar aise ko saunp diya jo aag bhi hai aur hawa bhi hai
apni ana ka jal kisi din pagal-pan mein toDunga
apni ana ke jal ko main ne pagal-pan mein buna bhi hai
diye ke jalne aur bujhne ka bhed samajh mein aae to kya
isi hawa se jal bhi raha tha isi hawa se bujha bhi hai
raushniyon pe panw jama ke chalna hum ko aaya nahin
waise dar-e-KHurshid to hum par gahe gahe khula bhi hai
dard ki jhil-mil raushniyon se bara KHwab ki duri par
hum ne dekhi ek dhanak jo shoala bhi hai sada bhi hai
tez hawa ke sath chala hai zard musafir mausam ka
os ne daman tham liya to pal-do-pal ko ruka bhi hai
sahil jaisi umar mein hum se sagar ne ek baat na ki
lahron ne to jaane kya kya kaha bhi hai aur suna bhi hai
ishq to ek ilzam hai us ka wasl ka to bas nam hua
wo aaya tha qatil ban ke qatl hi kar ke gaya bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.