hath mein apne hifazat ka asa le jaana
haath meñ apne hifāzat kā asā le jaanā
ghar se jaanā to buzurgoñ kī duā le jaanā
baat jab tark-e-ta.alluq hī pe aa pahuñchī hai
apne ḳhat bhī mire kamre se uThā le jaanā
jeb ḳhālī hai magar dil meñ baḌī vus.at hai
tum mire gaañv ke logoñ se vafā le jaanā
tere hāthoñ meñ hai patvār mirī kashtī kī
tū jidhar chāhe usī samt bahā le jaanā
mujh se milne ke liye vo bhī taḌaptā hogā
mere ḳhvābo mujhe hāthoñ pe uThā le jaanā
pagḌiyāñ roz uchhaltī hoñ jahāñ par 'ejāz'
ham ne sīkhā vahāñ izzat ko bachā le jaanā
hath mein apne hifazat ka asa le jaana
ghar se jaana to buzurgon ki dua le jaana
baat jab tark-e-talluq hi pe aa pahunchi hai
apne KHat bhi mere kamre se uTha le jaana
jeb KHali hai magar dil mein baDi wusat hai
tum mere ganw ke logon se wafa le jaana
tere hathon mein hai patwar meri kashti ki
tu jidhar chahe usi samt baha le jaana
mujh se milne ke liye wo bhi taDapta hoga
mere KHwabo mujhe hathon pe uTha le jaana
pagDiyan roz uchhalti hon jahan par 'ejaz'
hum ne sikha wahan izzat ko bacha le jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.