hath mein jam hai dil ko aaram hai
haath meñ jaam hai dil ko ārām hai
ab hameñ 'ishq se koī kyā kaam hai
jis ne luuTā hameñ pārsā thī bahut
ye tavā.if to bas yūñhī badnām hai
jā.iye shaiḳh jī ham se miliye nahīñ
ham pe piine pilāne kā ilzām hai
ḳhālī botal haiñ ham vo bhī TuuTī huī
ham samajhte haiñ kyā apnā anjām hai
vo mile ḳhvāb meñ aur kahne lage
ye suhūlat bhī bas aaj kī shaam hai
hath mein jam hai dil ko aaram hai
ab hamein 'ishq se koi kya kaam hai
jis ne luTa hamein parsa thi bahut
ye tawaif to bas yunhi badnam hai
jaiye shaiKH ji hum se miliye nahin
hum pe pine pilane ka ilzam hai
KHali botal hain hum wo bhi TuTi hui
hum samajhte hain kya apna anjam hai
wo mile KHwab mein aur kahne lage
ye suhulat bhi bas aaj ki sham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.