hath phailao to suraj bhi siyahi dega
haath phailāo to sūraj bhī siyāhī degā
kaun is daur meñ sachchoñ kī gavāhī degā
soz-e-ehsās bahut hai ise kam-tar mat jaan
yahī sho.ala tujhe bālīda-nigāhī degā
yuuñ to har shaḳhs ye kahtā hai kharā sonā huuñ
kaun kis ruup meñ hai vaqt batā hī degā
huuñ pur-ummīd ki sab āstīñ rakhte haiñ yahāñ
koī ḳhanjar to mirī pyaas bujhā hī degā
shab-gazīda ko tire is kī ḳhabar hī kab thī
din jo aa.egā ġham-e-lā-mutanāhī degā
aa.ina sāf-dil itnā bhī nahīñ ab ki tumheñ
asl chehre ke ḳhat-o-ḳhāl dikhā hī degā
tere hāthoñ kā qalam hai jo asā-e-darvesh
yahī ik din tujhe ḳhurshīd-kulāhī degā
hath phailao to suraj bhi siyahi dega
kaun is daur mein sachchon ki gawahi dega
soz-e-ehsas bahut hai ise kam-tar mat jaan
yahi shoala tujhe baalida-nigahi dega
yun to har shaKHs ye kahta hai khara sona hun
kaun kis rup mein hai waqt bata hi dega
hun pur-ummid ki sab aastin rakhte hain yahan
koi KHanjar to meri pyas bujha hi dega
shab-gazida ko tere is ki KHabar hi kab thi
din jo aaega gham-e-la-mutanahi dega
aaina saf-dil itna bhi nahin ab ki tumhein
asl chehre ke KHat-o-KHal dikha hi dega
tere hathon ka qalam hai jo asa-e-darwesh
yahi ek din tujhe KHurshid-kulahi dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.