hath phir baDh raha hai su-e-jam
haath phir baḌh rahā hai sū-e-jām
zindagī kī udāsiyoñ ko salām
kaun jaane ye kis kī zulfoñ meñ
ho ga.e haiñ asīr-e-sub.h-o-shām
maiñ samajhtā huuñ phir bahār aa.ī
koī letā hai jab ḳhizāñ kā naam
koī ahl-e-junūñ ko samjhā de
āgahī to nahīñ hai koī daam
saath do-gām to chalo varna
bhuul jā.egī gardish-e-ayyām
hath phir baDh raha hai su-e-jam
zindagi ki udasiyon ko salam
kaun jaane ye kis ki zulfon mein
ho gae hain asir-e-subh-o-sham
main samajhta hun phir bahaar aai
koi leta hai jab KHizan ka nam
koi ahl-e-junun ko samjha de
aagahi to nahin hai koi dam
sath do-gam to chalo warna
bhul jaegi gardish-e-ayyam
- Book : Awaz Na Do (Pg. 32)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.