hath se duniya nikalti jaegi
haath se duniyā nikaltī jā.egī
aur duniyā haath maltī jā.egī
husn kī rañgat badaltī jā.egī
ye shab-e-mahtāb Dhaltī jā.egī
munqalib hotī raheñgī fitrateñ
zindagī karvaT badaltī jā.egī
ḳhatm ho saktī nahīñ sair-e-hayāt
zindagī ruk ruk ke chaltī jā.egī
naujavānī ārzūeñ sab liye
girtī jā.egī sañbhaltī jā.egī
'ishq ġhāfil zaḳhm khātā jā.egā
husn kī talvār chaltī jā.egī
yūñhī ik armāñ nikaltā jā.egā
yūñhī ik hasrat machaltī jā.egī
yūñhī aatī jā.egī shām-e-visāl
yūñhī sham'-e-bazm jaltī jā.egī
yūñhī ruḳhsat hotī jā.egī ḳhushī
yūñhī sub.h-e-ġham nikaltī jā.egī
yūñhī gaa.e jā.eñge sher-e-'nushūr'
yūñhī tab-e-ġham bahaltī jā.egī
hath se duniya nikalti jaegi
aur duniya hath malti jaegi
husn ki rangat badalti jaegi
ye shab-e-mahtab Dhalti jaegi
munqalib hoti rahengi fitraten
zindagi karwaT badalti jaegi
KHatm ho sakti nahin sair-e-hayat
zindagi ruk ruk ke chalti jaegi
naujawani aarzuen sab liye
girti jaegi sanbhalti jaegi
'ishq ghafil zaKHm khata jaega
husn ki talwar chalti jaegi
yunhi ek arman nikalta jaega
yunhi ek hasrat machalti jaegi
yunhi aati jaegi sham-e-visal
yunhi sham'-e-bazm jalti jaegi
yunhi ruKHsat hoti jaegi KHushi
yunhi subh-e-gham nikalti jaegi
yunhi gae jaenge sher-e-'nushur'
yunhi tab-e-gham bahalti jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.