hath se haihat kya jata raha
haath se haihāt kyā jaatā rahā
marne jiine kā mazā jaatā rahā
zindagī kā aasrā jaatā rahā
haa.e jiine kā mazā jaatā rahā
le gayā sarmāya-e-sabr-o-qarār
māya-dar ab sabr kā jaatā rahā
umr bhar kī sab kamā.ī luT ga.ī
ziist kā barg-o-navā jaatā rahā
dil agar baaqī rahā kis kaam kā
chain dil kā ai ḳhudā jaatā rahā
zindagānī kī halāvat uTh ga.ī
dāna-pānī kā mazā jaatā rahā
jo sahārā thā dam-e-darmāndagī
vo buḌhāpe kā asā jaatā rahā
kījiye kis baat kī ab aarzū
aarzū kā mudda.ā jaatā rahā
gul huā apnā charāġh-e-ārzū
nuur ghar kā ai ḳhudā jaatā rahā
haa.e kaisā luT gayā bāġh-e-murād
kyā shajar phūlā-phalā jaatā rahā
roiye kyā zindagānī ko 'zahīr'
maut kā bhī ab mazā jaatā rahā
hath se haihat kya jata raha
marne jine ka maza jata raha
zindagi ka aasra jata raha
hae jine ka maza jata raha
le gaya sarmaya-e-sabr-o-qarar
maya-dar ab sabr ka jata raha
umr bhar ki sab kamai luT gai
zist ka barg-o-nawa jata raha
dil agar baqi raha kis kaam ka
chain dil ka ai KHuda jata raha
zindagani ki halawat uTh gai
dana-pani ka maza jata raha
jo sahaara tha dam-e-darmandagi
wo buDhape ka asa jata raha
kijiye kis baat ki ab aarzu
aarzu ka muddaa jata raha
gul hua apna charagh-e-arzu
nur ghar ka ai KHuda jata raha
hae kaisa luT gaya bagh-e-murad
kya shajar phula-phala jata raha
roiye kya zindagani ko 'zahir'
maut ka bhi ab maza jata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.