hath tu afsos se aise na mal ho jaegi
haath tū afsos se aise na mal ho jā.egī
aaj qismat mehrbāñ na ho to kal ho jā.egī
tū vo qatra ban samundar aarzū jis kī kare
terī ye dilkash adā zarbul-masal ho jā.egī
kaar scōter kahāñ īmān-dārī meñ huzūr
kī bahut koshish to bas ik cycle ho jā.egī
hādse bikhre hue haiñ har qadam par dhyān rakh
zindagī varna simaT kar pal do pal ho jā.egī
mas.ala ho ek ka to to sochne kī baat hai
ek hai donoñ kī gar mushkil to hal ho jā.egī
ham ne sochā note kar leñ sher jab achchhā huā
ham ko kyā mālūm thā 'anjum' ġhazal ho jā.egī
hath tu afsos se aise na mal ho jaegi
aaj qismat mehrban na ho to kal ho jaegi
tu wo qatra ban samundar aarzu jis ki kare
teri ye dilkash ada zarbul-masal ho jaegi
kar scooter kahan iman-dari mein huzur
ki bahut koshish to bas ek cycle ho jaegi
hadse bikhre hue hain har qadam par dhyan rakh
zindagi warna simaT kar pal do pal ho jaegi
masala ho ek ka to to sochne ki baat hai
ek hai donon ki gar mushkil to hal ho jaegi
hum ne socha note kar len sher jab achchha hua
hum ko kya malum tha 'anjum' ghazal ho jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.