hathon mein gar hai jam to lab pe dua bhi hai
hāthoñ meñ gar hai jaam to lab pe du'ā bhī hai
is mai-kade meñ zāhido zikr-e-ḳhudā bhī hai
in'ām bhī hai 'ishq agarche sazā bhī hai
lazzat hai kuchh tapish meñ ḳhalish meñ maza bhī hai
rūThī hai duniyā saarī tire rūThne ke baa'd
jab tum badal ga.e ho to badlī havā bhī hai
itnī sī baat aa.ī na vā'iz samajh tujhe
terā hai jo ḳhudā vo hamārā ḳhudā bhī hai
likh likh ke kaale kar diye panne to be-shumār
ik she'r ne tire kisī dil ko chhuā bhī hai
maujūd har jagah pe hai dikhtā kahīñ nahīñ
andar bhī hai hamāre vo ham se judā bhī hai
sach-sach batā 'sadā' tū garebāñ meñ jhāñk kar
terī nigāh meñ koī tujh se burā bhī hai
hathon mein gar hai jam to lab pe du'a bhi hai
is mai-kade mein zahido zikr-e-KHuda bhi hai
in'am bhi hai 'ishq agarche saza bhi hai
lazzat hai kuchh tapish mein KHalish mein maza bhi hai
ruThi hai duniya sari tere ruThne ke ba'd
jab tum badal gae ho to badli hawa bhi hai
itni si baat aai na wa'iz samajh tujhe
tera hai jo KHuda wo hamara KHuda bhi hai
likh likh ke kale kar diye panne to be-shumar
ek she'r ne tere kisi dil ko chhua bhi hai
maujud har jagah pe hai dikhta kahin nahin
andar bhi hai hamare wo hum se juda bhi hai
sach-sach bata 'sada' tu gareban mein jhank kar
teri nigah mein koi tujh se bura bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.