hathon se gir gai mere miTTi ki KHair ho
hāthoñ se gir ga.ī mire miTTī kī ḳhair ho
ghar meñ hī baiThī rah ga.ī beTī kī ḳhair ho
hāthoñ ke ok meñ mire jaltā rahā charāġh
aadhī hathelī jal ga.ī aadhī kī ḳhair ho
bastī meñ bāñsurī kī sadā jab sunā.ī de
banjāre tū jiye tirī vanjlī kī ḳhair ho
maiñ ne to ek sher kahā husn-e-yār par
mahfil meñ jhūmtī huī laḌkī kī ḳhair ho
dil ke har ek saaz pe raqsāñ haiñ dhaḌkaneñ
terī bhī ḳhair ho tirī mastī kī ḳhair ho
niklī hai dasht ko vo panah kī hī aas meñ
vahshat bhare jahān meñ siskī kī ḳhair ho
ik vasl ek hijr hai dulhan kī maañg meñ
shahnā.iyoñ meñ dab chukī siskī kī ḳhair ho
is vāste na māñgī kabhī apnī ḳhair dost
maiñ chāhtā yahī thā ki bas terī ḳhair ho
paalā hai is ne maañ kī tarah apnī god meñ
terī bhī ḳhair ho mirī miTTī kī ḳhair ho
dam dam hamārī aañkh se Tapke sharāb-e-ishq
āñkhoñ ne dī duā mire saaqī kī ḳhair ho
'abdul' nasīb ho use phūloñ kā ik jahāñ
hāthoñ se uḌne vaalī bhī titlī kī ḳhair ho
hathon se gir gai mere miTTi ki KHair ho
ghar mein hi baiThi rah gai beTi ki KHair ho
hathon ke ok mein mere jalta raha charagh
aadhi hatheli jal gai aadhi ki KHair ho
basti mein bansuri ki sada jab sunai de
banjare tu jiye teri wanjli ki KHair ho
main ne to ek sher kaha husn-e-yar par
mahfil mein jhumti hui laDki ki KHair ho
dil ke har ek saz pe raqsan hain dhaDkanen
teri bhi KHair ho teri masti ki KHair ho
nikli hai dasht ko wo panah ki hi aas mein
wahshat bhare jahan mein siski ki KHair ho
ek wasl ek hijr hai dulhan ki mang mein
shahnaiyon mein dab chuki siski ki KHair ho
is waste na mangi kabhi apni KHair dost
main chahta yahi tha ki bas teri KHair ho
pala hai is ne man ki tarah apni god mein
teri bhi KHair ho meri miTTi ki KHair ho
dam dam hamari aankh se Tapke sharab-e-ishq
aankhon ne di dua mere saqi ki KHair ho
'abdul' nasib ho use phulon ka ek jahan
hathon se uDne wali bhi titli ki KHair ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.