had-e-imkan KHalaon se pare mangta hai
had-e-imkan KHalaon se pare mangta hai
Mohammad Naim Jawed Naim
MORE BYMohammad Naim Jawed Naim
had-e-imkān ḳhalāoñ se pare māñgtā hai
lafz vo apne ḳhayāloñ se baḌe māñgtā hai
roz hotā hai hamesha ke liye mujh se judā
roz uTh kar vo tahajjud meñ mujhe māñgtā hai
ek arsa huā is tark-e-marāsim ko magar
ab bhī vo mujh se mohabbat ke sile māñgtā hai
zindagī ishq-e-butāñ meñ hai guzārī jis ne
ab vo mandir bhī farishtoñ se bhare māñgtā hai
ek TuuTī huī kashtī kā musāfir hai magar
qulzum-e-dard kināroñ pe chaḌhe māñgtā hai
jo duāoñ ko samajhtā thā ziyāñ harfoñ kā
log lākhoñ vo janāze meñ khaḌe māñgtā hai
apne dushman se vo chhupne ke liye mujh se 'na.īm'
apne bichhḌe hue yāroñ ke pate māñgtā hai
had-e-imkan KHalaon se pare mangta hai
lafz wo apne KHayalon se baDe mangta hai
roz hota hai hamesha ke liye mujh se juda
roz uTh kar wo tahajjud mein mujhe mangta hai
ek arsa hua is tark-e-marasim ko magar
ab bhi wo mujh se mohabbat ke sile mangta hai
zindagi ishq-e-butan mein hai guzari jis ne
ab wo mandir bhi farishton se bhare mangta hai
ek TuTi hui kashti ka musafir hai magar
qulzum-e-dard kinaron pe chaDhe mangta hai
jo duaon ko samajhta tha ziyan harfon ka
log lakhon wo janaze mein khaDe mangta hai
apne dushman se wo chhupne ke liye mujh se 'naim'
apne bichhDe hue yaron ke pate mangta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.