hadd-e-nazar tak raat hi raat
hadd-e-nazar tak raat hī raat
aisā safar aur terā saat
mauj-o-havā kī samt na dekh
jaltī rahegī sham-e-hayāt
zarf-e-kufr-o-īmāñ tañg
tez sharāb-e-ehsāsāt
mujh ko ik insāñ kī talāsh
tū masrūf-e-zāt-o-sifāt
merī jabīñ par bhī haiñ 'shor'
kuchh sajdoñ ke ilzāmāt
hadd-e-nazar tak raat hi raat
aisa safar aur tera sat
mauj-o-hawa ki samt na dekh
jalti rahegi sham-e-hayat
zarf-e-kufr-o-iman tang
tez sharab-e-ehsasat
mujh ko ek insan ki talash
tu masruf-e-zat-o-sifat
meri jabin par bhi hain 'shor'
kuchh sajdon ke ilzamat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.