hadis-e-shauq kahen ya karen hayat ki baat
hadīs-e-shauq kaheñ yā kareñ hayāt kī baat
har ek baat tirī chashm-e-iltifāt kī baat
ḳhizāñ kā zikr bhalā mausam-e-bahār meñ kyā
tulūa-e-sub.h-e-daraḳhshāñ meñ kaisī raat kī baat
hadīs-e-dard-o-alam ko agar alag kar leñ
to kis zabāñ se kareñ karb-e-kā.enāt kī baat
bahār-e-mai-kada-o-sāqī-o-sharāb-o-shabāb
koī sune to kaheñ dil ke vārdāt kī baat
ġham-e-hayāt kā darmāñ na kar sake lekin
bahut hī ġhaur se sunte rahe hayāt kī baat
rah-e-talab meñ nasheb-o-farāz-e-manzil kī
unheñ ḳhabar jo samajhte haiñ hādsāt kī baat
maiñ apne hosh bhī qaa.em na rakh sakā jab 'faiz'
vo ek raat kā qissa hai ek raat kī baat
hadis-e-shauq kahen ya karen hayat ki baat
har ek baat teri chashm-e-iltifat ki baat
KHizan ka zikr bhala mausam-e-bahaar mein kya
tulua-e-subh-e-daraKHshan mein kaisi raat ki baat
hadis-e-dard-o-alam ko agar alag kar len
to kis zaban se karen karb-e-kaenat ki baat
bahaar-e-mai-kada-o-saqi-o-sharab-o-shabab
koi sune to kahen dil ke wardat ki baat
gham-e-hayat ka darman na kar sake lekin
bahut hi ghaur se sunte rahe hayat ki baat
rah-e-talab mein nasheb-o-faraaz-e-manzil ki
unhen KHabar jo samajhte hain hadsat ki baat
main apne hosh bhi qaem na rakh saka jab 'faiz'
wo ek raat ka qissa hai ek raat ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.