zindagi se ek din mausam KHafa ho jaenge
zindagī se ek din mausam ḳhafā ho jā.eñge
rañg-e-gul aur bū-e-gul donoñ havā ho jā.eñge
aañkh se aañsū nikal jā.eñge aur Tahnī se phuul
vaqt badlegā to sab qaidī rihā ho jā.eñge
phuul se ḳhushbū bichhaḌ jā.egī sūraj se kiran
saal se din vaqt se lamhe judā ho jā.eñge
kitne pur-ummīd kitne ḳhūb-sūrat haiñ ye log
kyā ye sab baazū ye sab chehre fanā ho jā.eñge
zindagi se ek din mausam KHafa ho jaenge
rang-e-gul aur bu-e-gul donon hawa ho jaenge
aankh se aansu nikal jaenge aur Tahni se phul
waqt badlega to sab qaidi riha ho jaenge
phul se KHushbu bichhaD jaegi suraj se kiran
sal se din waqt se lamhe juda ho jaenge
kitne pur-ummid kitne KHub-surat hain ye log
kya ye sab bazu ye sab chehre fana ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.