hai aage ek bayaban is babul ke baad
hai aage ek bayābān is babūl ke baa'd
hamārā koī nahīñ hai dil-e-malūl ke baa'd
na jaane ḳhud ko kahāñ chhoḌ aayā raste meñ
mujhe talāsh hai apnī tire husūl ke baa'd
safar hayāt kā kab ḳhatm hone vaalā hai
ki jab zamīñ na huī ḳhatm arz-o-tūl ke baa'd
tumhārī zaat hī kyā qaus meñ ghire hindso
na kuchh usuul se pahle na kuchh usuul ke baa'd
firāq-o-vasl azāb-o-savāb bātil-o-haq
nuzūl sab kā huā hai mire nuzūl ke baa'd
hai aage ek bayaban is babul ke ba'd
hamara koi nahin hai dil-e-malul ke ba'd
na jaane KHud ko kahan chhoD aaya raste mein
mujhe talash hai apni tere husul ke ba'd
safar hayat ka kab KHatm hone wala hai
ki jab zamin na hui KHatm arz-o-tul ke ba'd
tumhaari zat hi kya qaus mein ghire hindso
na kuchh usul se pahle na kuchh usul ke ba'd
firaq-o-wasl azab-o-sawab baatil-o-haq
nuzul sab ka hua hai mere nuzul ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.